Phir Jiya hi Kya Hai....
In Badlon ki Gehrai mein,
Simat jane ko ji chahta hai,
Mile agar koi,
Apnane ko ji chahta hai.
Khwabon mein to har armaan ko,
Hamne badi tammana se sanjoya hai,
Zindagi ke har mod pe,
Har armaan ko sach karne ko ji chahta hai.
Haste hue kate jo har pal,
To phir kiya hi kya hai,
Agar gam ka kabhi samna nahi kiya,
To phir jiya hi kya hai
Kaash har din ek nayi umang laye,
Apno se apni nazdikiyan aur badhaye,
Simat kar rehne mein kya maza hai,
Har tarang mein udne ki hi tamanna hai
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home