Saturday, November 29, 2008

Friendship ....

dosti, gar kabhi tumko mil jayegi,
jindagi pal mein yuhi mehak jayegi,
maina jindagi ka badal jata hai,
raishton ki chaon mein sab nikhar jata hai
pal yuhin gum na ho jayen yun kar sabhi
faslon ke darmiyan bhi, vakiya nikhar jata hai
har ghadi, har sama, saath ho dosti ka
to mano yakin, pa liya hai sabhi
bas mehekte rahoge yun hi hamesha tumhi
haath thame dagar par chale jaoge,
har shamiyane ki shaan bante chale jaoge
jindagi ke sahi dagar pe bas badhe jaoge

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home