Ek Aur Nayi Subah
Subah ki pehli kiran se,
Us mehkti hawa ke alingan se,
Apni akhon ko khol,
Mein ek naya savera dekh raha hun.
Ek nayi shuruvat ke arambh ko,
Kuch andekhe ansuljhe raaz ko,
Ek aur ummed ki disha de raha hun
Apne sawalon ko ek aur din ki, mahulat de raha hun
Mehekte hue jazbon ko,
Suraj ki kiran ko,
Aur apne aap ko,
Jeene ki aur muskurane ki,
Ek aur vajah de raha hun.
Subah ke agaman se,
Sham ke anchal tak,
Samay ka pura kan,
Mein swayam ko de raha hun,
Har pal ko jeene ke liye,
Mein khud ko ek vajah de raha hun