Friday, January 23, 2009

Reality Bites

Panap raha tha kuch khayalon mein,
Ek sapna anjana ,
Kuch unsulze sawalon ko sulzane ki aas mein ,
Tha dil baichain hamara .

Sarkar karti hai vade anek,
Har baar deti hain logon ko jhanse anek,
Kuch paisa kudh ke gharon mein chala jata hain,
Baki jo bacha, voh apne netao ko ,
Khush rakhne ke kaam ata hai .

Pucho agar ek aam nagrik se,
Gussa to unhe bahut ata hai,
Kadam se Kadam mila kar,
Virodh karne ki gar karo baat,
To sara krodh lachari mein badal jata hai.

Kab tak yun hum bas gote khate rahenge,
Apne aap se apni khushion ko napte rahenge,
samaj ka kalyan kisi ek insaan ki mahutaj nahi hai,
vaido aur hakeekat ki pehchan hum sabhi ko hai.

Badlav lana ab jaroori hai,
Ek takat ban kar dikhna ab jaroori hai,
Panapte hue apne khwabon,
Ummed ki ek kiran dikhana jaroori hai.

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home