Sunday, February 1, 2009

Ulfat mein likhe kuch shabd

Khud ko aine mein
Dekhne mein jo maza hai,
Apne se akele mein
Baten karen mein kya khata hai.
Khata gar dayron ke
Darminyan simat jati,
Kafiron ke kafilon,
Ki disha agar likhi jati,
Dishheen hone ki baat,
Samne jarror ati,
Vaqt ki pabandiyon,
Mein ab ulajhna bekar hai,
Banjar Zameen mein paseena,
Bahana bekar hai,
Sham ki har angdayi pe
Ek kavita gar likhi jati,
Kitabon ke dher ban khade hote,
Agar shayari ke bayan,
Shayaron ke khwabon se,
Aur har phalak ke mod pe kahi jati.

Labels:

1 Comments:

At February 14, 2009 at 2:07 AM , Blogger Unknown said...

To arz hai,

Bandook Chal Gayi Fire ho gaya,


Wah
Wah Wah


Bandook Chal Gayi Fire ho gaya.


..

..

..

..

..

Kuch bhi bak diya to Shayar ho gaya.

Wah wah wah

:) :)

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home